Anu Menon likhi directed Waiting kahani hai do ajnabiyon ki jo aspatal mein milte hai aur dost ban jaate hai.40 saal shaadi shuda Shiv Natraj, yaane Naseerudin Shah ki patni 8 mahino se coma mein hai aur Shiv apna har din, uske saath aspatal mein guzarta hai.
Tara Mathur ki shaadi ko 6 mahine bhi nahi hue, jab ek accident mein uske pati Rajat ussi aspatal mein ICU mein bharti hote hai.
Ab Shiv aur Tara ke aage hai intezaar aur ye intezaar, dono ko, apne aap se parichay karwata hai.
Dukh mein kayi padhav aate hain aur dukh ko har insaan alag tarike se joojhata hai.
Shiv ashavadi hain, isliye vishwas mein jeete hain…Tara realist hai, isliye medical world se praman maangti hai…
Film ka plus: film ki anokhi kahani, dono kirdaar, unke aapsi rishtey, unke apne jasbaad aur nazariya. Kuch scenes aise hain, jahan kuch nahi hota hai par bohat kuch hota hai…
Film ka minus: second half thoda dragging hai, end thoda sa confused hai magar ye sab maaf hai kyon ki film ki neeyat nek hai aur performances sincere.
Naseerudin Shah Shiv ko puri tarha se apnate hain aur Kalki Kochelin screen se nikalkar aap ke dil mein jagah bana leti hain.
Agar aap ne kabhi bhi kissi apne ke liye aspatal mein intezaar kiya hai, toh Waitingko miss mat karna.
Waiting ko Big Entertainment Ratings milte hain 3.5 stars.
@bhawanasomaaya