YRF produced aur Maneesh Sharma directed Fan kahani hai ek superstar Aryan Khanna aur uske sabse bade fan, Gaurav Chandna ki.
Gaurav kehne ko toh West Dilli mein apna cyber station chalata hai, magar sach mein subah shaam sirf Aryan Khanna ke gun gaata hai.
Gaurav ka sapna hai, ke wo ek baar Mumbai jaakar apne star se mile aur samay aane par, ye sapna sach ho jaata hai.
Film ka plus: film ki kahani, characters, Habib Faisal ke dialogues. Iske alava film ke locations, special effects aur cinematography…
Film ka bada plus: Maneesh Sharma ki kabile taarif direction aur Shaha Rukh Khan ka double dhamaka – yaane ki Dilli ka junooni Gaurav aur Mumbai ka Shaandar Aryan.
Film ka minus: kyon ki kahani larger than life hai, isliye characters aur situations bhi over the top ban jaate hain jo iss genre ki cinema mein understandable hai.
Fan dekhni chahiye film ke sandesh ke liye, Shah Rukh Khan ke liye aur director Maneesh Sharma ke liye.
Fan ko Big Entertainment Ratings miltye hai 3.5 stars.
@bhawanasomaaya