On 14 January was Kaifi Azmi’s birthday and on 17 January is Javed Akhtar’s birthday. In today’s blog the son-in-law pays tribute to the father-in-law.
Ajeeb Aadmi Tha Woh
Ajeeb aadmi tha woh
Mohabbaton ka geet tha
Baghavaton ka raag tha
Kabhi woh sirf phool tha
Kabhi woh sirf aag tha
Ajeeb aadmi tha woh…
Woh muflison sey kehta tha ke din badal bhi sakte hain
Woh jaabiron sey kehta tha tumhare sar pe sone ke jo Taj hain kabhi pighal bhi sakte hain
Woh bandishon se kehta tha main tumko tod sakta hoon
Hawaaon se woh kehta tha main tumko mod sakta hoon
Sahoolaton se kehta tha main tumko chhod sakta hoon
Woh khwab se yeh kehta tha ke tujhko sach karunga main
Woh aarzoo se kehta tha main tera humsafar hoon tere saath hi chaloonga main
Tu chahe jitni duur bhi bana le apni manzilein kabhi nahi thakoonga main
Woh zindagi se kehta tha ke tujhko main sajaoonga
Tu mujhse chand maang ley main chand leke aaoonga
Woh aadmi se kehta tha ke aadmi se pyar kar
Ujad rahi hai yeh zameen
Kuch iska ka ab singar kar
Ajeeb aadmi tha woh
Woh zindagi ke saare dukh tamam gham har ik sitam se kehta tha main
tumse jeet jaaoonga
Ki tumko tto mita hi dega ek roz aadmi
Bhula hi dega ye jahan
Meri alag hain dastaan
Woh ankhein jinmein khwab hain
Wo baazu jin mein hai sakat
Woh hont jin pe lafz hain
Rahoonga unke darmiyaan ke jab beet jaaoonga
Ajeeb aadmi tha woh….