Faraaz breaks stereotypes
Film: Faraaz
Date: 03.02.2023
Director: Hansal Mehta
Writers: Kashyap-Raghav-Ritesh
Cast: Zahan Kapoor, Juhi Babbar Soni, Aditya Rawal
Music: Sameer Rahat
Synopsis: Based on the real-life terrorist attack that ravaged a Dhaka Cafe Faraaz follows events that unfold over one claustrophobic night moulded into a heart-wrenching hostage drama. An untold heroic tale about a young boy who stood tall in the darkest times.
Hindi Review: Namashkar main hoon Bhawana Somaaya aur ye hain mera iss hafte ka film review, Faraaz.
Anubhav Sinha produced aur Hansal Mehta directed Faraaz Dhaka ke café mein hue terrorist attack ki kahani hain.
5 naujawan, hathyaar sammit, café mein entry lete hain aur point blank shoot out karte hain.
Kuch hi shhanon mein, ek haseen shaam ek bhayanak raat mein badal jaati hain!
Kahani 2 level par chalti hain- ek, jo café mein hota hain, yaane, terrorist’s ka hostages’ par atyachar!
Doosra, jo café ke bahar hota hain, yaane, police aur ministry ki operation ki taiyaariyaan aur hostages ke pariwaron ki pareshaniyaan.
Inme shamil hain Bangladesh ka leading business house, Latif u Rahman ka pariwar, jinka nawasa Faraaz/ Zahan Kapoor bhi apne doston ke saath café mein hostage hain.
Film ke opening shots, closing shots, music aur treatment is what sets it apart from other terrorist films.
Narrative kab/kyon/kahan aur kaise ki back stories mein na jaakar, saare prejudices/ perceptions/ discriminations/defences ko naturally accept karte hain aur terrorism se jude, saare stereotypes todte hain!
Pancho terrorist normal youngsters hain. They like food, music, video games and posing for selfies.
Wo aaj ki zabaan bolte hain – that is a combination of Hindi/ Urdu/ English, ladte, jhagadte, argue, abuse karte hain.
They are strong/weak/ confused/ frightened aur yehi film ka sandesh hain.
Film ke demerits: 1. Pace- jo deliberately slow hain taaki hum hostages ki ghuttan ko mehsoos kar sake.
2. Conflict areas bohat kum aur low-key hain jiski wajah se humara man thodasa bhatakta hain.
Hume wapas track par laate hain film ke sensitive performances: naye actors Harshal, Jatin, Ninad, Sachin aur sab se effective, unke leader, Aditya Rawal is superb!
Zahan Kapoor urf Chhottu/ Faraaz bohat hi quiet character ko precision se nibhate hain.
Juhi Babbar Soni film ki surprise packet hain, both refreshing and powerful!
Main Bhawana Somaaya Faraaz ko Big Ratings deti hoon 3 stars.