Skip to main content

Traffic is engaging – Day 924

By 13 July, 2016January 11th, 2017Uncategorized

Late Rajesh Pillai directed Traffic satya ghatna par adharit kalpanik kahani hai.  Film ke opening titles mein film ke mukhya kalakar aur khani ke alag tracks ko introduce kiya jaata hai.

Inme se kuch pehle se pareshan hain aur kuch nayi khushiyon ki dehleez par khade hain…

Aur phir, ek haadsa hota hai, jiske baad saari kahaniyaan aur sabhi kalakar ek doosre ke saath jud jaate hain…

Iss 2:30 ghante ke safarr ke dauran hum milte hain do niraash maa baap, do kamnaseeb bache aur teen bahdur professionals se, sugeon Vikram Gokhale, traffic inspector Jimmy Shergill aur traffic cop Manoj Bajpayee.

Film ka plus: film ka music, subject aur umda sandesh.

Film ka minus: bas itna, ki film A Wednesday ki yaad dilati hai…

Traffic serious hai, sensitive hai, samajik aur naitik muddey uthati hai aur iske uprant ek aham paath padhati hai…

Ki har subah, har koi, apni muskilon se joojhta hai aur har pal, hume jagrit rehna hai, apne dil ki awaaz sun ni hain.

Traffic, medical aur traffic world ke sahas ki kahani hai aur isse yaadgaar banati hai film ke ensemble performances…

Traffic ko Big Entertainment Ratings milte hai 3.5 stars.

@bhawanasomaaya